Kehne Ko Jashn-E-Bahara Hai,
Ishq Yeh Dekh Ke Hairan Hai,
Kehne Ko Jashn-E-Bahara Hai,
Ishq Yeh Dekh Ke Hairan Hai,
Phool Se Khushboo Khafa-Khafa Hai Gulshan Mein,
Chupa Hai Koyi Ranj Fiza Ki Chilman Mein,
Saare Sehme Nazaare Hain,
Soye Soye Waqt Ke Dhare Hain,
Aur Dil Mein Khoyi-Khoyi Si Batein Hain…
O Ho, Kehne Ko Jashn-E-Bahara Hai,
Ishq Yeh Dekh Ke Hairan Hai,
Phool Se Khushboo Khafa-Khafa Hai Gulshan Mein,
Chupa Hai Koyi Ranj Fiza Ki Chilman Mein,
Kaise Kahein Kya Hai Sitam,
Sochte Hain Ab Yeh Hum,
Koyi Kaise Kahe Woh Hai Ya Nahin Humare,
Karte Toh Hai Saath Safar,
Faasle Hain Phir Bhi Magar,
Jaise Milte Nahin Kisi Dariya Ke Do Kinare,
Paas Hain Phir Bhi Paas Nahi,
Humko Yeh Ghum Raas Nahi,
Seeshe Ki Ek Deewar Hai Jaise Darmiyan,
Sare Sehme Nazare Hain,
Soye Soye Waqt Ke Dhare Hain,
Aur Dil Mein Khoyi-Khoyi Si Batein Hain,
Kehne Ko Jashn-E-Bahara Hai, Ishq Yeh Dekhke Hairan Hai,
Phool Se Khushboo Khafa-Khafa Hai Gulshan Mein,
Chhupa Hai Koyi Ranj Fiza Ki Chilman Mein…
Humne Jo Tha Nagma Suna,
Dil Ne Tha Usko Chuna,
Yeh Dastaan Hamein Waqt Ne Kaisi Sunayi,
Hum Jo Agar Hai Ghumgein,
Woh Bhi Udhar Khush Toh Nahin,
Mulaqaton Mein Jaise Ghul Si Gayi Tanhaayi,
Milke Bhi Hum Milte Nahin,
Khil Ke Bhi Gul Khilte Nahin,
Aankhon Mein Hai Baharein,
Dil Mein Khiza…
Saare Sehme Nazare Hain,
Soye Soye Waqt Ke Dhaare Hain,
Aur Dil Mein Khoyi-Khoyi Si Batein Hain,
O Ho, Kehne Ko Jashn-E-Bahara Hai,
Ishq Yeh Dekhke Hairan Hai,
Phool Se Khushboo Khafa-Khafa Hai Gulshan Mein,
Chupa Hai Koyi Ranj Fiza Ki Chilman Mein…
Jashn E Bahara Song Lyrics Credits:
Song Title: Jashn E Bahara
Singers: Javed Ali
Movie: Jodhaa Akbar (2008)
Release Date: 15th February 2008
Music Composers: A. R. Rahman
Lyricist: Javed Akhtar