Zaroori Tha Song Lyrics

Last updated on September 12th, 2024 at 07:35 pm

Lafz Kitne Hi Tere Pairon Se Lipte Honge,
Tune Jab Aakhiri Khat Mera Jalaya Hoga,
Tune Jab Phool Kitabon Se Nikale Honge,
Dene Wala Bhi Tujhe Yaad Toh Aaya Hoga,

Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha,
Mohabbat Bhi Zaroori Thi Bichadna Bhi Zaroori Tha,
Zuroori Tha Ki Hum Dono Tawaaf-E-Aarzoo Karte,
Magar Phir Aarzu’on Ka Bikharna Bhi Zaroori Tha,
Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha,

Bataao Yaad Hai Tumko Woh Jab Dil Ko Churaya Tha,
Churaai Cheez Ko Tumne Khuda Ka Ghar Banaya Tha,
Woh Jab Kehte The Mera Naam Tum Tasbih Mein Padhte Ho,
Mohabbat Ki Namaazo Ko Qaza Karne Se Darte Ho,
Magar Ab Yaad Aata Hai Woh Baatein Thi Mahaz Baatein,
Kahin Baaton Hi Baaton Mein Mukarna Bhi Zaroori Tha,
Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha,

Wahi Hai Sooratein Apni Wahi Main Hoon, Wahi Tum Ho,
Magar Khoya Huaa Hoon Main Magar Tum Bhi Kahin Gum Ho,
Mohabbat Mein Dagha Ki Thi So Kaafir The So Kaafir Hain,
Mili Hain Manzilein Phir Bhi Musaafir The, Musaafir Hain,
Tere Dil Ke Nikale Hum Kahan Bhatke, Kahaan Pahunche,
Magar Bhatke Toh Yaad Aaya Bhatakna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi Bichhadna Bhi Zaroori Tha,
Zaroori Tha Ki Hum Dono Tawaaf-E-Aarzoo Karte,

Magar Phir Aarzuon Ka Bikharna Bhi Zaroori Tha,
Teri Aankhon Ke Dariya Ka Utarna Bhi Zaroori Tha…

Zaroori Tha Song Lyrics Credits:

Singer: Rahat Fateh Ali Khan
Album: Back 2 Love (2014)
Music Composer: Sahir Ali Bagga
Lyricist: Khalil-ur-Rehman Qamar

Was this helpful? post
Table of Contents

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top