Banjara Song Lyrics

Jise Zindagi Dhundh Rahi Hai
Kya Ye Wo Makam Mera Hai
Yahan Chain Se Bas Ruk Jaaun
Kyun Dil Ye Mujhe Kehta Hai

Jazbaat Naye Se Mile Hain
Jane Kya Asar Ye Hua Hai
Ek Aas Mili Phir Mujhko
Jo Qubool Kisi Ne Kiya Hai

Kisi Shayar Ki Ghazal
Jo De Rooh Ko Sukoon Ke Pal
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjare Ko Ghar
Naye Mausam Ki Seher
Ya Sard Mein Dopahar
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjare Ko Ghar

Jaise Koi Kinara, Deta Ho Sahara
Mujhe Wo Mila Kisi Mod Par
Koi Raat Ka Taara, Karta Ho Ujaala
Waise Hi Roshan Kare, Vo Shahar
Dard Mere Vo Bhula Hi Gaya
Kuch Aisa Asar Hua
Jeena Mujhe Phir Se Wo Sikha Rahaa

Hmm…
Jaise Barish Kar De Tar
Ya Marham Dard Par
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjare Ko Ghar
Naye Mausam Ki Sehar
Ya Sard Mein Dopahar
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjare Ko Ghar

Muskata Ye Chehra, Deta Hai Jo Pehra
Jane Chhupata Kya Dil Ka Samandar
Auron Ko To Har Dam, Saaya Deta Hai
Wo Dhoop Mein Hai Khada, Khud Magar

Chot Lagi Hai Use
Fir Kyun Mahsoos Mujhe Ho Raha Hai
Dil Tu Bata De Kya Hai Irada Tera

Hmm…
Main Parinda Be Sabar
Tha Uda Jo Dar Badar
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjare Ko Ghar
Naye Mausam Ki Sehar
Ya Sard Mein Dopahar
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjare Ko Ghar

Jaise Banjare Ko Ghar
Jaise Banjare Ko Ghar
Jaise Banjare Ko Ghar

Banjara Lyrics Credits:

Singer: Mohammed Irfan
Movie: Ek Villain (2014)
Music Composer: Mithoon
Lyricist: Mithoon

Table of Contents

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top