Is Ishq O Mohabbat Ki Lyrics | Zulm Ki Pukar

Last updated on October 4th, 2024 at 08:15 pm

Is ishq o mohabbat ki
Kuchh hai ajeeb rasmein
Is ishq o mohabbat ki
Kuchh hai ajeeb rasmein
Kabhi jeene ke waade

Kabhi marne ki kasmein
Na ye tere bas mein
Na wo mere bas mein
Na ye tere bas mein

Na wo mere bas mein
Kabhi jeene ke waade
Kabhi marne ki kasmein
Is ishq o mohabbat ki
Kuchh hai ajeeb rasmein

Kabhi intezaar karte
Barsaat ki raaton mein
Kabhi raat guzar jaaye
Baaton hi baaton mein

Kabhi intezaar karte
Barsaat ki raaton mein
Kabhi raat guzar jaaye
Baaton hi baaton mein

Ek dard machalta hai
Is dil ki nas nas mein
Ek dard machalta hai
Is dil ki nas nas mein

Kabhi jeene ke waade
Kabhi marne ki kasmein
Na ye tere bas mein
Na wo mere bas mein

Gar hum ko juda kar de
Ek baar jahaan ke sitam
Har baar janam lekar
Har baar milenge hum

Gar hum ko juda kar de
Ek baar jahaan ke sitam
Har baar janam lekar
Har baar milenge hum

Yoon e had e wafa kar le
Aa milkar aapas mein
Yoon ehad e wafa kar le
Aa milkar aapas mein
Kabhi jeene ke waade
Kabhi marne ki kasmein

Main teri mohabbat mein
Har rasm nibha doonga
Apni neenden dekar tere
Khwab saja doonga

Main teri mohabbat mein
Har rasm nibha doonga
Apni neenden dekar tere
Khwab saja doonga

Aisa hi hota hai jab
Dil na rahe bas mein
Aisa hi hota hai jab
Dil na rahe bas mein

Kabhi jeene ke waade
Kabhi marne ki kasmein
Is ishq o mohabbat ki
Kuchh hai ajeeb rasmein.

Written by:
Varma Malik

IS ISHQ O MOHABBAT KI SONG CREDIT

Singer: Mohammed Rafi, Chandrani Mukherjee
Album: Zulm Ki Pukar
Lyricist: Varma Malik
Music: Laxmikant-Pyarelal
Director: K. C. Bokadia
Music Label: Saregama

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top