Aye Mere Watan Ke Logo
Tum Khub Laga Lo Naraa
Ye Shubh Din Hai, Hum Sab Kaa
Lehraa Lo Tirangaa Pyara
Par Mat Bhulo Sima Par
Veeron Ne Hai Pran Ganvaye
Kuchh Yaad Unhein Bhi Kar Lo
Kuchh Yaad Unhein Bhi Kar Lo
Jo Laut Ke Ghar Na Aaye
Jo Laut Ke Ghar Na Aaye
Aye Mere Watan Ke Logo
Zara Aankh Mein Bhar Lo Pani
Jo Shaheed Hue Hain Unkee
Zara Yaad Karo Qurbani
Aye Mere Watan Ke Logo
Zara Aankh Mein Bhar Lo Pani
Jo Shaheed Hue Hain Unkee
Zara Yaad Karo Qurbani
Tum Bhul Na Jao Unko
Isliye Suno Yeh Kahani
Jo Shaheed Hue Hain Unkee
Zara Yaad Karo Qurbani
Jab Ghaayal Huva Himalay
Khatre Mein Padi Azaadi
Jab Tak Thi Sans Lade Wo
Jab Tak Thi Sans Lade Wo
Fir Apni Lash Bichha Dee
Sangeen Pe Dhar Kar Matha
So Gaye Amar Balidani
Jo Shaheed Hue Hain Unkee
Zara Yaad Karo Qurbani
Jab Desh Me Thi Deewali
Wo Khel Rahe The Holi
Jab Hum Baithey The Gharon Mein
Jab Hum Baithey The Gharon Mein
Wo Jhel Rahe The Goli
The Dhanya Jawaan Wo Apne
Thi Dhanya Wo Unkee Jawaani
Jo Shaheed Hue Hain Unkee
Zara Yaad Karo Qurbani
Koi Sikh Koi Jaat Maratha
Koi Sikh Koi Jaat Maratha
Koi Gurkha Koi Madrasi
Koi Gurkha Koi Madrasi
Sarhad Pe Marne Wala
Har Veer Tha Bhaarat Wasi
Jo Khoon Gira Parvat Par
Wo Khoon Tha Hindustani
Jo Shaheed Hue Hain Unkee
Zara Yaad Karo Qurbani
Thi Khoon Se Lath Path Kaya
Fir Bhi Bandook Uthake
Das Das Ko Ek Ne Mara
Fir Gir Gaye Hosh Ganwa Ke
Jab Ant Samay Aaya To
Jab Ant Samay Aaya To
Keh Gaye Ke Ab Martey Hain
Khush Rehna Desh Ke Pyaron
Khush Rehna Desh Ke Pyaron
Ab Hum To Safar Karte Hain
Ab Hum To Safar Karte Hain
Kya Log The Wo Deewane
Kya Log The Vo Abhimani
Jo Shaheed Hue Hain Unkee
Zara Yaad Karo Qurbani
Tum Bhul Na Jao Unko
Isliye Kahi Yeh Kahani
Jo Shaheed Hue Hain Unkee
Zara Yaad Karo Qurbani
Jay Hind Jay Hind Jay Hind Ki Sena
Jay Hind Jay Hind Jay Hind Ki Sena
Jay Hind, Jay Hind, Jay Hind, Jay Hind
Jay Hind, Jay Hind, Jay Hind, Jay Hind
Aye Mere Watan Ke Logo Lyrics Credits:
Singer: Lata Mangeshkar
Music Composers: C. Ramchandra
Lyricist: Kavi Pradeep