Last updated on August 30th, 2024 at 01:38 pm
Hmm… Bekhayali Mein Bhi Tera Hi Khayal Aaye
Kyun Bichhadna Hai Zaruri Ye Sawal Aaye
Teri Nazdikiyon Ki, Khushi, Behisab Thi
Hissey Mein Faasle, Bhi Tere, Bemisaal Aaye
Main Jo Tumse Door Hun
Kyun Door Main Rahun
Tera Gurur Hun
Aa Tu Faasla Mitaa
Tu Khwaab Sa Milaa
Kyun Khwab Tod Dun
Bekhayali Mein Bhi Tera Hi Khayal Aaye
Kyun Judai De Gaya Tu, Ye Sawal Aaye
Thoda Sa Main Khafaa, Ho Gaya, Apne Aap Se
Thoda Sa Tujhpe Bhi, Bewaja, Hi Malaal Aaye
Hai Ye Tadpan, Hai Ye Uljhhan
Kaise Ji Lun Bina Tere
Meri Ab Sab Se Hai Ann Bann
Bante Kyun Ye Khudaa Mere
Hmm… Ye Jo Log Baag Hain
Jungle Ki Aag Hain
Kyun Aag Mein Jaloon
Ye Nakam Pyar Mein
Khush Hai Yeh Haar Mein
Inn Jaisa Kyun Banoon
Ratein, Dengi Bata
Neendon Mein Teri Hi Baat Hai
Bhuloon, Kaise Tujhe
Tu Toh Khayalon Mein Sath Hai
Bekhayali Mein Bhi Tera Hi Khayal Aaye
Kyun Bichhadna Hai Zaroori Ye Sawal Aaye
Nazar Giraa De Har Ek Manzar
Ret Ki Tarha, Bikhar Raha Hai
Dard Tumharaa, Badan Mein Mere
Zeher Ki Tarha, Utar Rahaa Hai
Nazar Gira De, Har Ek Manzar
Ret Ki Tarha, Bikhar Raha Hai
Dard Tumharaa, Badan Mein Mere
Zeher Ki Tarha, Utar Rahaa Hai
Aa Zamane, Aazma Le, Ruthta Nahi
Faaslon Se, Hosla Ye, Tutaa Nahi
Na Hai Woh Bewafaa, Aur Na, Main Hoon Bewafa
Woh Meri Aadaton, Ki Tarah Chhootta Nahi
Bekhayali Lyrics Credits:
Singer: Sachet Tandon
Movie: Kabir Singh (2019)
Music Composer: Sachet–Parampara
Lyricist: Irshad Kamil