oh beqadar beparwah
kyun samajh na paaye pyaar
meri kya khata jiski saja
dete rahe ho har baar
tum mujhe yaad karoge
jab na rhenge tere paas
milne ki kosish karoge tab
hum na rhenge tere sath
oh beqadar beparwah
kyun samajh na paaye pyaar
aise tum khudgarz ho
yeh jaan ke hairaan hain
tere se dar lag raha
bina tere bhi pareshaan hai
kya karein humko bhi teri
aisi aadat ho gayi hai
chahe na chahe yeh aankhein
teri khatir ro rahi hai
soch ke agar na rahe hum
jane kya hoga tera haal
tum kabhi gamzaar ho toh
kaun rakhega khayal
oh bekadar beparwah
kyun samajh na paaye pyaar
haal hai har hal main
hain chahtein teri khushi
hum rahein ya na rahein
lab pe rahein tere hansi
kya farak padta hai jab hum
khud se hi naraaz hain
chaah ke bhi keh sake na
dabe huye ek saaj hai
ishq hai ya hai zehar
chale na humein ye pata
tum mere dil mein vase ho
hum hain kahan yeh toh bata