Ek Pyar Ka Nagma Hai, Maujon Ki Ravani Hai…
Ek Pyar Ka Nagma Hai, Maujon Ki Ravani Hai…
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahi, Teri Meri Kahani Hai…
Kuch Pakar Khona Hai, Kuch Khokar Paanaa Hai…
Jeevan Ka Matlab Toh, Aanaa Aur Jaanaa Hai…
Do Pal Ke Jeevan Se, Ek Umr Churaani Hai…
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahi, Teri Meri Kahani Hai…
Ek Pyar Ka Nagma Hai…
Ek Pyar Ka Nagma Hai, Maujon Ki Ravani Hai…
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahi, Teri Meri Kahani Hai…
Tu Dhaar Hai Nadiyaa Ki, Main Tera Kinara Hoon…
Tu Mera Sahara Hai, Main Tera Sahara Hoon…
Aankhon Mein Samandar Hai, Aashaon Ka Pani Hai…
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahin, Teri Meri Kahani Hai…
Ek Pyar Ka Nagma Hai…
Ek Pyar Ka Nagma Hai, Maujon Ki Ravani Hai…
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahi, Teri Meri Kahani Hai…
Toofaan To Aanaa Hai, Aakar Chale Jaanaa Hai…
Badal Hai Ye Kuch Pal Ka, Chhaakar Dhal Jaanaa Hai…
Parchaiyaan Reh Jaati, Reh Jaati Nishaani Hai…
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahin, Teri Meri Kahani Hai…
Ek Pyar Ka Nagma Hai…
Ek Pyar Ka Nagma Hai, Maujon Ki Ravani Hai…
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahi, Teri Meri Kahani Hai…
Ek Pyar Ka Nagma Hai Lyrics Credits:
Song Title: Ek Pyar Ka Nagma Hai
Singers: Lata Mangeshkar and Mukesh
Movie: Shor (1972)
Release Date: 22nd September 1972
Music Composers: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Santosh Anand