Hairaan Hoon
Ki Kuchh Bhi Na Maangun Kabhi Main
Jo Tum Mere Ho
Aisa Ho Kyun?
Ki Lagta Hai Haasil Sabhi Hain
Jo Tum Mere Ho
Jo Tum Mere Ho
Toh Main Kuchh Nahi Maangun
Duniya Se
Aur Tum Ho Hi Nahi
Toh Main Jeena Nahi Chahun
Duniya Mein
Aur Nazron Mein Mere
Ek Jahaan Hai
Jahaan Tu Aur Main
Ab Saath Hain
Aur Wahan Koyi Nahi
Tu Aur Main Hi Hain
Aur Aaoge Aise Aaoge
Teri Meri Kya Yeh Rahein
Yoon Judi Hain
Aur Raahon Mein Hi
Jo Tum Aaye Kabhi
Hum Toh Pyar Se Hi
Mar Jaayenge
Aur Aaoge Aise Aaoge
Teri Meri Ab Yeh Raahein
Yoon Judi Hai
Aur Raahon Mein Hi
Jo Tum Aaye Nahi
Hum Toh Phir Bhi
Tumhein Hi Chaahenge
Jo Tum Mere Ho
Toh Main Kuchh Nahi Maangun
Duniya Se
Poochhe Yeh Tu
Ki Tujhme Main Kya Dekhta Hoon?
Jab Charon Taraf
Aaj Kitne Hi Saare Nazare Hain
Jaane Na Tu
Khud Ko Yoon Na Jaane Kyun?
Nazron Se Meri Yahan
Dekho Na Khud Ko Zara
Dekho Na Dekho Na Zulfon Se
Kaise Zulfon Se
Teri Chhupti Pyari Pyari Si
Muskaan Hai
Aur Nazrein Jhuki
Aur Nazrein Uthi
Toh Main Kya Hi Karun?
Barbaad Main
Tere Honthon Ko
Tere Honthon Ko
Jinse Rakhti Mere
Pyare Pyare Naam Hai
Aur Dil Ka Tere
Aur Dil Ka Tere
Ab Main Kya Hi Kahun?
Kya Baat Hai
Aur Haan Dekho Yahan
Kaise Aayi 2 Dilon Ki
Yeh Baraat Hai
Par Kya Khula Aasmaan
Ya Phir Lai Yahan Zoron Se
Barsaat Hai?
Chahein Ho Chhaye Bhi Badaal Toh
Chahein Phir Bhi Tumhein
Kya Pata Tumko?
Maangun Na Kuchh Aur Jo
Tum Mere Ho
Haan Haan Haan
Written by: Anuv Jain