Zindagi Ke Safar Mein Lyrics

Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain Jo Makam
Wo Phir Nahin Aatey, Wo Phir Nahin Aatey
Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain Jo Makam
Wo Phir Nahin Aatey, Wo Phir Nahin Aatey

Phool Khilte Hain, Log Milte Hain
Phool Khilte Hain, Log Milte Hain
Magar Patjhad Men Jo Phool Murjha Jaate Hain
Wo Baharon Ke Aane Se Khilte Nahin
Kuch Log Ek Roz Jo Bichhad Jaate Hain
Wo Hazaron Ke Aane Se Milte Nahin
Omr Bhar Chahe Koi Pukara Kare Unka Naam
Wo Phir Nahin Aate, Wo Phir Nahin Aatey

Ankh Dhokha Hai, Kya Bharosa Hai
Ankh Dhokha Hai, Kya Bharosa Hai
Suno Doston, Shaq Dosti Ka Dushman Hai
Apne Dil Men Ise Ghar Banane Na Do
Kal Tadapna Pade Yaad Men Jin Ki
Rok Lo, Ruth Kar Unko Jane Na Do
Baad Men Pyar Ke Chahe Bhejo Hazaron Salam
Wo Phir Nahin Aate, Wo Phir Nahin Aatey

Subha Aati Hai, Raat Jati Hai
Subha Aati Hai, Raat Jati Hai,
Yunhi, Waqt Chalta Hi Rehta Hai Rukta Nahin
Ek Pal Mein Yeh Aage Nikal Jata Hai
Aadmi Thik Se Dekh Pata Nahin
Aur Parde Pe Manzar Badal Jata Hai
Ek Baar Chale Jate Hain, Jo Din Raat Subha Sham
Wo Wo Phir Nahin Aate, Wo Phir Nahin Aatey

Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hain Jo Makam
Wo Phir Nahin Aatey, Wo Phir Nahin Aatey…

Zindagi Ke Safar Mein Lyrics Credits:

Singer: Kishore Kumar
Movie: Aap Ki Kasam (1974)
Music Composer: Rahul Dev Burman (R. D. Burman)
Lyricist: Anand Bakshi

Table of Contents

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top